#2025 say
#2026 "Apna zamana aap banate hain ahle-dil,
Hum woh nahin ke jin ko zamana bana gaya."
Saal 2025 hamari zindagi ka wo yaadgaar saal bana jisne hamein DXC Foundation ka hissa banaya.
Yeh sirf ek group nahin, balkay ek aisi darsgah sabit hui jahan hamari aqdaar aur maharat dono ko jala mili.
Hum jo kabhi trading ki dunya mein natajurbakaar thay, aaj apne Mentors ki mukhlasana rahnumayi aur unki behtareen guidelines ki badolat 'Pro' banne ke safar par hain.
Unki sarbarahi mein humne na sirf market ke utaar-charhao ko samjha, balkay:
✅ Disciplined Trading ka fan seekha.
✅ FOMO (Fear of Missing Out) jaise jazbaat par qabu pana seekha.
✅ Aur sab se barh kar, aik doosre ka hath tham kar muttahid (united) rehna seekha.
Trading ki is wasee dunya mein hamari yeh kamyabi aur hamara yeh saath 2026 ki jashan ka muntazir hai ! Yeh celebration hai hamari mehnat ki, hamari tarbiyat ki, aur DXC Foundation ke us mazboot rishtay ki jo hamesha qaayam rahega.
Shukriya DXC Foundation! ❤️
Shukriya DXC members
Shukriya hamare mukhlis Mentors!
@DanishXChampion #DXCFoundation #SuccessJourney #2025WithBianace